Monday, June 18, 2012

Ye safar mera-tera....


Chale the do kadam sath kabhi
ab to barson beete us baat ko bhi...
Jab takraye zamaane baad
to samjhe ishaare arson baad...
Tu kahin...........main kahin..........
Teri manzil mera raasta
mile nahi kabhi kahin....
phir bhi kyon har manzar tera
har fasana mera lagta hai...
Mere raaste mein kahin teri manzil...
kahin meri manzil mein tera aks.......
dikhai deta hai........
Ye safar jo mera-tera
anjana magar jana pehchana sa lagta hai......!!!<3
Ye safar jo mera-tera
anjana magar jana pehchana sa lagta hai!!!<3